shikasta saz-e-mohabbat ki ek sada hun main
shikasta sāz-e-mohabbat kī ik sadā huuñ maiñ
jo rah ga.ī hai laraz kar vo iltijā huuñ maiñ
dam-e-nazāra ye dīvāngī-e-zauq-e-nigāh
vo mujh ko DhūñDte haiñ un ko DhūñDhtā huuñ maiñ
jahāñ ye kufr hai taqdīr kā gila karnā
ab is maqām pe apne ko pā rahā huuñ maiñ
salām ai nigah-e-be-niyāz-e-garmi-e-ishq
ḳhatā muaaf ki ab sard ho rahā huuñ maiñ
mirā hī zarf hai is mai-kada meñ ai saaqī
ki jām-e-talḳh bhī hañs hañs ke pī rahā huuñ maiñ
mirī talāsh meñ rahtī hai ḳhud mirī manzil
ġhalat ḳhayāl ki manzil ko DhūñDhtā huuñ maiñ
vahīñ se paa.ī hai manzil kī raah ai 'āsī'
jahāñ pe us kī mohabbat meñ kho gayā huuñ maiñ
shikasta saz-e-mohabbat ki ek sada hun main
jo rah gai hai laraz kar wo iltija hun main
dam-e-nazara ye diwangi-e-zauq-e-nigah
wo mujh ko DhunDte hain un ko DhunDhta hun main
jahan ye kufr hai taqdir ka gila karna
ab is maqam pe apne ko pa raha hun main
salam ai nigah-e-be-niyaz-e-garmi-e-ishq
KHata muaf ki ab sard ho raha hun main
mera hi zarf hai is mai-kada mein ai saqi
ki jam-e-talKH bhi hans hans ke pi raha hun main
meri talash mein rahti hai KHud meri manzil
ghalat KHayal ki manzil ko DhunDhta hun main
wahin se pai hai manzil ki rah ai 'asi'
jahan pe us ki mohabbat mein kho gaya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.