shikastagi mein hawaon ko aazmane do
shikastagī meñ havāoñ ko āzmāne do
milā hai vaqt samundar meñ Duub jaane do
pata chalegā nasheb-o-farāz haiñ kitne
safar meñ apne zarā ek moḌ aane do
hamāre qurb kā ehsās tum ko khaTkegā
kisī Dhalān pe paañv ko Dagmagāne do
udaas shahr kā haarā huā sipāhī huuñ
jigar meñ raat kā ḳhanjar hī jagmagāne do
tamām umr rahā sard mausamoñ kī tarah
kabhī to garm havāoñ ke āshiyāne do
tumhāre shahr kī chiḌiyāñ yahīñ pe utreñgī
mire nafas ke daraḳhtoñ meñ barg aane do
shikastagi mein hawaon ko aazmane do
mila hai waqt samundar mein Dub jaane do
pata chalega nasheb-o-faraaz hain kitne
safar mein apne zara ek moD aane do
hamare qurb ka ehsas tum ko khaTkega
kisi Dhalan pe panw ko Dagmagane do
udas shahr ka haara hua sipahi hun
jigar mein raat ka KHanjar hi jagmagane do
tamam umr raha sard mausamon ki tarah
kabhi to garm hawaon ke aashiyane do
tumhaare shahr ki chiDiyan yahin pe utrengi
mere nafas ke daraKHton mein barg aane do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.