shikoh-e-zat se dushman ka lashkar kanp jata hai
shikoh-e-zāt se dushman kā lashkar kaañp jaatā hai
agar kirdār puḳhta ho sitamgar kaañp jaatā hai
tasavvur meñ ubhartā hai kabhī jab qabr kā manzar
uchaT jaatī haiñ nīñdeñ aur bistar kaañp jaatā hai
mile haiñ zaḳhm kuchh aise mujhe apne rafīqoñ se
ka.ī barsoñ ke kuchh rishtoñ kā mehvar kaañp jaatā hai
kisī bhī jang meñ koī shahādat kī ḳhabar sun kar
sisak uThte haiñ kangan aur zevar kaañp jaatā hai
vo haidar murtazā bhī haiñ vahī sher-e-ḳhudā bhī haiñ
vahī ik naam sun ke ab bhī ḳhaibar kaañp jaatā hai
chale aate haiñ kuchh yuuñ be-salīqa log maiḳhāne
surāhī rone lagtī hai to sāġhar kaañp jaatā hai
vahī be-ḳhauf rahtā hai sadā 'shāyān' duniyā meñ
ḳhudā ke ḳhauf se dil jis kā aksar kaañp jaatā hai
shikoh-e-zat se dushman ka lashkar kanp jata hai
agar kirdar puKHta ho sitamgar kanp jata hai
tasawwur mein ubharta hai kabhi jab qabr ka manzar
uchaT jati hain ninden aur bistar kanp jata hai
mile hain zaKHm kuchh aise mujhe apne rafiqon se
kai barson ke kuchh rishton ka mehwar kanp jata hai
kisi bhi jang mein koi shahadat ki KHabar sun kar
sisak uThte hain kangan aur zewar kanp jata hai
wo haidar murtaza bhi hain wahi sher-e-KHuda bhi hain
wahi ek nam sun ke ab bhi KHaibar kanp jata hai
chale aate hain kuchh yun be-saliqa log maiKHane
surahi rone lagti hai to saghar kanp jata hai
wahi be-KHauf rahta hai sada 'shayan' duniya mein
KHuda ke KHauf se dil jis ka aksar kanp jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.