shikwa-e-gham na masaib ka gila karte hain
shikva-e-ġham na masā.ib kā gila karte haiñ
rab kā har haal meñ ham shukr adā karte haiñ
vo ibādat nahīñ karte haiñ riyā karte haiñ
jo dikhāve ke liye zikr-e-ḳhudā karte haiñ
ma.arifat ishq kī ho jaatī hai jin ko hāsil
sajda-e-shauq vo teġhoñ meñ adā karte haiñ
ḳhatm hogī na kabhī haq ke charāġhoñ kī ziyā
ye diye tund havā meñ bhī jalā karte haiñ
apne begāne kī tafrīq nahīñ un kā shi.ār
jo bhale log haiñ vo sab kā bhalā karte haiñ
vo bhī mujrim haiñ barābar ke sitamgar kī tarah
har sitam sah ke jo ḳhāmosh rahā karte haiñ
jab lagā rog mohabbat kā to mahsūs huā
log kyoñ ishq ko āzār kahā karte haiñ
haq-bayānī hai agar jurm to ham haiñ mujrim
zulm se laḌnā ḳhatā hai to ḳhatā karte haiñ
husn paidā karo kirdār-o-amal meñ apne
ġhair ko dekho na 'ahsan' ki vo kyā karte haiñ
shikwa-e-gham na masaib ka gila karte hain
rab ka har haal mein hum shukr ada karte hain
wo ibaadat nahin karte hain riya karte hain
jo dikhawe ke liye zikr-e-KHuda karte hain
marifat ishq ki ho jati hai jin ko hasil
sajda-e-shauq wo teghon mein ada karte hain
KHatm hogi na kabhi haq ke charaghon ki ziya
ye diye tund hawa mein bhi jala karte hain
apne begane ki tafriq nahin un ka shiar
jo bhale log hain wo sab ka bhala karte hain
wo bhi mujrim hain barabar ke sitamgar ki tarah
har sitam sah ke jo KHamosh raha karte hain
jab laga rog mohabbat ka to mahsus hua
log kyon ishq ko aazar kaha karte hain
haq-bayani hai agar jurm to hum hain mujrim
zulm se laDna KHata hai to KHata karte hain
husn paida karo kirdar-o-amal mein apne
ghair ko dekho na 'ahsan' ki wo kya karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.