shikwa-e-gardish-e-ayyam bhi kar len kuchh der
shikva-e-gardish-e-ayyām bhī kar leñ kuchh der
dil ko hasrat-kash-e-ārām bhī kar leñ kuchh der
tazkira kar ke jafāoñ kā sar-e-bazm kabhī
ruuh ko sar-ḳhush-e-ālām bhī kar leñ kuchh der
iztirāb-e-alam-angez jo de fursat-e-ġham
charḳh ke saa.e meñ ārām bhī kar leñ kuchh der
din to guzrā ġham-o-ālām-o-ta.ab meñ yaksar
hāsil āsūdgī-e-shām bhī kar leñ kuchh der
bazm-e-ahbāb meñ maḳhsūs ho kyoñ shohrat-e-ishq
apnī rusvā.ī ko ham aam bhī kar leñ kuchh der
chaak dāman ko zarā baiTh ke sī leñ 'sāqib'
aao fursat ho to ye kaam bhī kar leñ kuchh der
shikwa-e-gardish-e-ayyam bhi kar len kuchh der
dil ko hasrat-kash-e-aram bhi kar len kuchh der
tazkira kar ke jafaon ka sar-e-bazm kabhi
ruh ko sar-KHush-e-alam bhi kar len kuchh der
iztirab-e-alam-angez jo de fursat-e-gham
charKH ke sae mein aaram bhi kar len kuchh der
din to guzra gham-o-alam-o-tab mein yaksar
hasil aasudgi-e-sham bhi kar len kuchh der
bazm-e-ahbab mein maKHsus ho kyon shohrat-e-ishq
apni ruswai ko hum aam bhi kar len kuchh der
chaak daman ko zara baiTh ke si len 'saqib'
aao fursat ho to ye kaam bhi kar len kuchh der
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.