shikwa hai kisi se na shikayat na gila hai
shikva hai kisī se na shikāyat na gila hai
ye ziist mire jurm-e-mohabbat kī sazā hai
ai sāqi-e-mai-ḳhāna tū kyā soch rahā hai
chhā.ī huī maiḳhāne pe sāvan kī ghaTā hai
ġhairoñ kī shikāyat hai na kuchh tujh se gila hai
mujh se to har ik hamdam-e-derīna ḳhafā hai
ye terā karam hai ki mohabbat kā sila hai
har zaḳhm tirī yaad kā ik phuul banā hai
ai chāragaro tum se to ye bhī nahīñ hotā
ik harf-e-tasallī jo davā hai na duā hai
ab harf-e-tamannā bhī nahīñ lab pe hamāre
kyā kahiye kahāñ ishq ne dam toḌ diyā hai
dāman kī hameñ apne ḳhabar ho na ho lekin
ham ahl-e-junūñ ne tirā dāman to siyā hai
ai mauj-e-havādis na ulajh ham se ki ham ne
ik aan meñ tūfān kā ruḳh moḌ diyā hai
sach pūchhiye 'zamzam' to ab is daur-e-havas meñ
jiine hī kā kuchh lutf na marne kā maza hai
shikwa hai kisi se na shikayat na gila hai
ye zist mere jurm-e-mohabbat ki saza hai
ai saqi-e-mai-KHana tu kya soch raha hai
chhai hui maiKHane pe sawan ki ghaTa hai
ghairon ki shikayat hai na kuchh tujh se gila hai
mujh se to har ek hamdam-e-derina KHafa hai
ye tera karam hai ki mohabbat ka sila hai
har zaKHm teri yaad ka ek phul bana hai
ai chaaragaro tum se to ye bhi nahin hota
ek harf-e-tasalli jo dawa hai na dua hai
ab harf-e-tamanna bhi nahin lab pe hamare
kya kahiye kahan ishq ne dam toD diya hai
daman ki hamein apne KHabar ho na ho lekin
hum ahl-e-junun ne tera daman to siya hai
ai mauj-e-hawadis na ulajh hum se ki hum ne
ek aan mein tufan ka ruKH moD diya hai
sach puchhiye 'zamzam' to ab is daur-e-hawas mein
jine hi ka kuchh lutf na marne ka maza hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.