shikwa is ka to nahin hai jo karam chhoD diya
shikva is kā to nahīñ hai jo karam chhoḌ diyā
hai sitam ye ki sitamgar ne sitam chhoḌ diyā
le gayā chhīn koī sab sar-o-sāmān-e-hayāt
haañ magar ek sulagtā huā ġham chhoḌ diyā
lag ga.ī in ko bhī shāyad tire kūche kī havā
mai-kada riñd ne zāhid ne haram chhoḌ diyā
haa.e us rah-rav-e-barbād kī manzil ai dost
jis ne ghabrā ke tirā naqsh-e-qadam chhoḌ diyā
shikwa is ka to nahin hai jo karam chhoD diya
hai sitam ye ki sitamgar ne sitam chhoD diya
le gaya chhin koi sab sar-o-saman-e-hayat
han magar ek sulagta hua gham chhoD diya
lag gai in ko bhi shayad tere kuche ki hawa
mai-kada rind ne zahid ne haram chhoD diya
hae us rah-raw-e-barbaad ki manzil ai dost
jis ne ghabra ke tera naqsh-e-qadam chhoD diya
- Book : Kulliyat-e-Akhtar Muslimi (Pg. 241)
- Author : Faheem Ahmad
- Publication : Danish Frahi, Ramlila Maidan, Saraye Meer, Azamgrah, U.P. (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.