shikwa kabhi kiya na kabhi talKH baat ki
shikwa kabhi kiya na kabhi talKH baat ki
Dr. Bhawana Srivastava
MORE BYDr. Bhawana Srivastava
shikva kabhī kiyā na kabhī talḳh baat kī
denā paḌegī daad mirī ehtiyāt kī
sach meñ akelā chhoḌ diyā ham ne jab kahā
us ko koī samajh hī nahīñ nafsiyāt kī
yuuñ kaT rahe haiñ ham se musalsal hamāre log
jaise jhaḌī lagī ho koī sānehāt kī
sab se 'azīz shaḳhs ko khone ke baa'd ab
hotī nahīñ hai fikr mujhe hādsāt kī
chhup-chhup ke chāñd dekhtā to hai mujhe magar
us kī ye dil-lagī hai faqat raat raat kī
shikwa kabhi kiya na kabhi talKH baat ki
dena paDegi dad meri ehtiyat ki
sach mein akela chhoD diya hum ne jab kaha
us ko koi samajh hi nahin nafsiyat ki
yun kaT rahe hain hum se musalsal hamare log
jaise jhaDi lagi ho koi sanehat ki
sab se 'aziz shaKHs ko khone ke ba'd ab
hoti nahin hai fikr mujhe hadsat ki
chhup-chhup ke chand dekhta to hai mujhe magar
us ki ye dil-lagi hai faqat raat raat ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.