shikwa karte hain jo ek bar kahin milte hain
shikva karte haiñ jo ik baar kahīñ milte haiñ
ek hī shahr meñ kyoñ rah ke nahīñ milte haiñ
ham ne ik umr uThā.ī hai aziyyat kyā kyā
phir ḳhudā ḳhair kare vahm-o-yaqīñ milte haiñ
nahīñ milte to ḳhazaf bhī nahīñ milte ham ko
aur milte haiñ to kyā durr-e-samīñ milte haiñ
aise milne se to behtar hai mile dil ko najāt
jahāñ milnā nahīñ hotā vo vahīñ milte haiñ
shikwa karte hain jo ek bar kahin milte hain
ek hi shahr mein kyon rah ke nahin milte hain
hum ne ek umr uThai hai aziyyat kya kya
phir KHuda KHair kare wahm-o-yaqin milte hain
nahin milte to KHazaf bhi nahin milte hum ko
aur milte hain to kya durr-e-samin milte hain
aise milne se to behtar hai mile dil ko najat
jahan milna nahin hota wo wahin milte hain
- Book : غبار حیرانی (Pg. 132)
- Author : احمد محفوظ
- Publication : ایم۔آر پبلی کیشنز (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.