shikwa kis kis se karen sab hi sitamgar nikle
shikva kis kis se kareñ sab hī sitamgar nikle
na.e dushman to purāne se bhī baḌh kar nikle
dil kā aalam ki koī raas na aaya is ko
jaane kitne hī hasīñ pyaar ke manzar nikle
sāmne se to bahut pyaar jatāyā sab ne
muḌ ke dekhā to ka.ī piiTh pe ḳhanjar nikle
āsmāñ ko maiñ agar apnī hathelī pe rakhūñ
tab kahīñ jā ke mire qad ke barābar nikle
ḳhaak malte hue chaltī hai jahāñ kī azmat
ishq ke kūcha se jab koī qalandar nikle
kuchh bhī hāsil nahīñ hotā hai kināre pe kabhī
Duub jaa.eñ jo samundar meñ to gauhar nikle
jab se vīrān huī bastī mire sapnoñ kī
merī āñkhoñ se ka.ī surḳh samundar nikle
isī ummīd pe jiite haiñ jahāñ meñ ham log
kal kā din aaj kī us shaam se behtar nikle
'sāhiba' sīñchte haiñ ḳhūn-e-jigar se jis ko
hai ye mumkin ke vahī phuul bhī patthar nikle
shikwa kis kis se karen sab hi sitamgar nikle
nae dushman to purane se bhi baDh kar nikle
dil ka aalam ki koi ras na aaya is ko
jaane kitne hi hasin pyar ke manzar nikle
samne se to bahut pyar jataya sab ne
muD ke dekha to kai piTh pe KHanjar nikle
aasman ko main agar apni hatheli pe rakhun
tab kahin ja ke mere qad ke barabar nikle
KHak malte hue chalti hai jahan ki azmat
ishq ke kucha se jab koi qalandar nikle
kuchh bhi hasil nahin hota hai kinare pe kabhi
Dub jaen jo samundar mein to gauhar nikle
jab se viran hui basti mere sapnon ki
meri aankhon se kai surKH samundar nikle
isi ummid pe jite hain jahan mein hum log
kal ka din aaj ki us sham se behtar nikle
'sahiba' sinchte hain KHun-e-jigar se jis ko
hai ye mumkin ke wahi phul bhi patthar nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.