shikwa kiya jo maine to ghabra ke rah gae
shikva kiyā jo maiñ ne to ghabrā ke rah ga.e
kahne se pahle baat vo sharmā ke rah ga.e
aa.ī thī ik zamāne meñ aisī bahār bhī
gulshan meñ phuul khilte hī murjhā ke rah ga.e
the ham-kalām sab se vo karte the sab se baat
dekhā mujhe jo bazm meñ sharmā ke rah ga.e
shām-e-firāq kā jo kabhī aa gayā ḳhayāl
taare se mujh ko din meñ nazar aa ke rah ga.e
'iqbāl' māh-o-gul meñ vo poshīda the magar
ahl-e-nazar fareb-e-nazar khā ke rah ga.e
shikwa kiya jo main ne to ghabra ke rah gae
kahne se pahle baat wo sharma ke rah gae
aai thi ek zamane mein aisi bahaar bhi
gulshan mein phul khilte hi murjha ke rah gae
the ham-kalam sab se wo karte the sab se baat
dekha mujhe jo bazm mein sharma ke rah gae
sham-e-firaq ka jo kabhi aa gaya KHayal
tare se mujh ko din mein nazar aa ke rah gae
'iqbaal' mah-o-gul mein wo poshida the magar
ahl-e-nazar fareb-e-nazar kha ke rah gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.