shikwa nahin chaman mein hamein Khaar-zar se
shikva nahīñ chaman meñ hameñ ḳhār-zār se
ab dil ko choT lagtī hai fasl-e-bahār se
dafnā.e maiñ ne phuul kahāñ un kī yādoñ ke
pūchho dil-e-shikasta ke ujḌe dayār se
mahsūr kis tarah hoñ mirī ḳhūñ-fishāniyāñ
bahne lagī haiñ ye nigah-e-ashk-bār se
yādoñ ke jugnuoñ ne jalā to diyā hameñ
chaliye milī rihā.ī shab-e-intizār se
dekheñ kidhar se miltī hai ab zindagī kī bhiik
sīna-figār se yā kisī ġham-gusār se
dil ke har ek zaḳhm bichhā.e haiñ raah meñ
Dhak jaa.eñ rahnumāoñ ke gard-o-ġhubār se
likhvā.e dushmanoñ se mire ḳhat kā vo javāb
ham bhī javāb deñge dil-e-dāġhdār se
chāhā thā jab bhī phūñk diyā merī hastī ko
uTThegā kitnī baar dhuāñ is mazār se
jo phuul aa.e mere liye vo haiñ chashm-e-nam
ab ghar sajā.iye 'shafaq' ashkoñ ke haar se
shikwa nahin chaman mein hamein KHar-zar se
ab dil ko choT lagti hai fasl-e-bahaar se
dafnae main ne phul kahan un ki yaadon ke
puchho dil-e-shikasta ke ujDe dayar se
mahsur kis tarah hon meri KHun-fishaniyan
bahne lagi hain ye nigah-e-ashk-bar se
yaadon ke jugnuon ne jala to diya hamein
chaliye mili rihai shab-e-intizar se
dekhen kidhar se milti hai ab zindagi ki bhik
sina-figar se ya kisi gham-gusar se
dil ke har ek zaKHm bichhae hain rah mein
Dhak jaen rahnumaon ke gard-o-ghubar se
likhwae dushmanon se mere KHat ka wo jawab
hum bhi jawab denge dil-e-daghdar se
chaha tha jab bhi phunk diya meri hasti ko
uTThega kitni bar dhuan is mazar se
jo phul aae mere liye wo hain chashm-e-nam
ab ghar sajaiye 'shafaq' ashkon ke haar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.