shikwa tumhaara ab nahin karte kisi se hum
shikva tumhārā ab nahīñ karte kisī se ham
mānūs ho ga.e haiñ ġham-e-zindagī se ham
dhokā na de sakegī hameñ talḳhī-e-hayāt
khā.eñge ab fareb kisī ajnabī se ham
gum ho ke jis meñ rah ga.e kitne hī kārvāñ
guzre haiñ baar baar usī tīrgī se ham
hañs hañs ke jis ne luuT liiñ saarī masarrateñ
ab bhiik māñgte haiñ usī se ḳhushī kī ham
dīvāna kahne vaale tujhe kuchh ḳhabar bhī hai
lete haiñ kaam hosh kā dīvāngī se ham
sajda ba-qadr-e-hosh fareb-e-tamām hai
vāqif haiñ ḳhuub rasm-o-rah-e-bandagī se ham
irfān-e-zindagī use kyūñkar huā nasīb
ye raaz pūchh leñge kisī din 'vasī' se ham
shikwa tumhaara ab nahin karte kisi se hum
manus ho gae hain gham-e-zindagi se hum
dhoka na de sakegi hamein talKHi-e-hayat
khaenge ab fareb kisi ajnabi se hum
gum ho ke jis mein rah gae kitne hi karwan
guzre hain bar bar usi tirgi se hum
hans hans ke jis ne luT lin sari masarraten
ab bhik mangte hain usi se KHushi ki hum
diwana kahne wale tujhe kuchh KHabar bhi hai
lete hain kaam hosh ka diwangi se hum
sajda ba-qadr-e-hosh fareb-e-tamam hai
waqif hain KHub rasm-o-rah-e-bandagi se hum
irfan-e-zindagi use kyunkar hua nasib
ye raaz puchh lenge kisi din 'wasi' se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.