shikwe zaban pe aa saken is ka sawal hi na ho
shikve zabāñ pe aa sakeñ is kā savāl hī na ho
un se jafā kā zikr kyā jin ko ḳhayāl hī na ho
dil hī to hai zabāñ nahīñ shikva nahīñ kareñge ham
lekin ye shart kis liye jī ko malāl hī na ho
mizhgāñ pe vaañ nigāh-e-lutf hoñToñ pe yaañ hadīs-e-shauq
apne hudūd se baḌheñ is kī majāl hī na ho
shauq ko intizār-e-lutf lutf ko intizār-e-shauq
baat bane bhī kyā jahāñ pursish-e-hāl hī na ho
Thes ġhurūr ko lagī qahr banī nigāh-e-lutf
qahr bhī zid se to amaañ jis ko zavāl hī na ho
lutf na thā jise nasīb qahr kī taab laa.e kyuuñ
ishq kī ḳhud-farebiyāñ jaise ḳhayāl hī na ho
'hāmid'-e-nau-asīr se charḳh-e-kuhan ne kyā kahā
hai vo hayāt rā.egāñ jo pā.emāl hī na ho
shikwe zaban pe aa saken is ka sawal hi na ho
un se jafa ka zikr kya jin ko KHayal hi na ho
dil hi to hai zaban nahin shikwa nahin karenge hum
lekin ye shart kis liye ji ko malal hi na ho
mizhgan pe wan nigah-e-lutf honTon pe yan hadis-e-shauq
apne hudud se baDhen is ki majal hi na ho
shauq ko intizar-e-lutf lutf ko intizar-e-shauq
baat bane bhi kya jahan pursish-e-haal hi na ho
Thes ghurur ko lagi qahr bani nigah-e-lutf
qahr bhi zid se to aman jis ko zawal hi na ho
lutf na tha jise nasib qahr ki tab lae kyun
ishq ki KHud-farebiyan jaise KHayal hi na ho
'hamid'-e-nau-asir se charKH-e-kuhan ne kya kaha
hai wo hayat raegan jo paemal hi na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.