shola-ba-kaf saaton ki surKHi nazar aa rahi hai

shola-ba-kaf saaton ki surKHi nazar aa rahi hai
Ghulam Mustafa Faraz
MORE BYGhulam Mustafa Faraz
sho'la-ba-kaf sā'atoñ kī surḳhī nazar aa rahī hai
zulmat-gazīda nigāheñ ḳhush haiñ sahar aa rahī hai
dariyā ke tūfānī dhāre ġharqāb hote kināre
mauj-e-nafas saath le kar kyā kyā bhañvar aa rahī hai
rāhoñ meñ dīvār uThātī palkoñ pe kāñTe sajātī
sau sau hunar āzmātī tanhā.ī ghar aa rahī hai
ḳhud-āgahī kī ye jur.at uñglī uThā.e junūñ par
shorīda-sar ke muqābil zanjīr-e-dar aa rahī hai
aflāk kī be-karānī saudā-e-sar kī zabānī
parvāz kī lahr dil meñ be-bāl-o-par aa rahī hai
shāḳhoñ pe gul phir khileñge bichhḌe hue phir mileñge
mehvar pe apne ye duniyā phir lauT kar aa rahī hai
sho'la-ba-kaf sa'aton ki surKHi nazar aa rahi hai
zulmat-gazida nigahen KHush hain sahar aa rahi hai
dariya ke tufani dhaare gharqab hote kinare
mauj-e-nafas sath le kar kya kya bhanwar aa rahi hai
rahon mein diwar uThati palkon pe kanTe sajati
sau sau hunar aazmati tanhai ghar aa rahi hai
KHud-agahi ki ye jurat ungli uThae junun par
shorida-sar ke muqabil zanjir-e-dar aa rahi hai
aflak ki be-karani sauda-e-sar ki zabani
parwaz ki lahr dil mein be-baal-o-par aa rahi hai
shaKHon pe gul phir khilenge bichhDe hue phir milenge
mehwar pe apne ye duniya phir lauT kar aa rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.