shola dil se jab uThega to ghazal ho jaegi
sho'la dil se jab uThegā to ġhazal ho jā.egī
zaḳhm dil par jo lagegā to ġhazal ho jā.egī
be-dilī meñ din Dhalegā to ġhazal ho jā.egī
dard-e-furqat meñ jalegā to ġhazal ho jā.egī
hosh meñ likhnā kamāl-e-fan nahīñ hai be-ḳhabar
be-ḳhudī meñ jab likhegā to ġhazal ho jā.egī
āñkhoñ se āñkheñ mileñgī dhaḌkaneñ ruk jā.eñgī
ruḳh se parda jo haTegā to ġhazal ho jā.egī
aa.ina jab ḳhanda-zan hogā tumhāre haal par
vaqt jab tum par hañsegā to ġhazal ho jā.egī
raat din 'ash.har' tafakkur meñ guzar jaa.eñ to kyā
lazzat-e-girya chakhegā to ġhazal ho jā.egī
sho'la dil se jab uThega to ghazal ho jaegi
zaKHm dil par jo lagega to ghazal ho jaegi
be-dili mein din Dhalega to ghazal ho jaegi
dard-e-furqat mein jalega to ghazal ho jaegi
hosh mein likhna kamal-e-fan nahin hai be-KHabar
be-KHudi mein jab likhega to ghazal ho jaegi
aankhon se aankhen milengi dhaDkanen ruk jaengi
ruKH se parda jo haTega to ghazal ho jaegi
aaina jab KHanda-zan hoga tumhaare haal par
waqt jab tum par hansega to ghazal ho jaegi
raat din 'ashhar' tafakkur mein guzar jaen to kya
lazzat-e-girya chakhega to ghazal ho jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.