shola hai na aansu hai na shabnam na saba hai
sho'la hai na aañsū hai na shabnam na sabā hai
'mumtāz' mirī zaat faqat harf-e-vafā hai
jo barq bhī girtī hai guzartī hai idhar se
ālām ne shāyad mirā ghar dekh liyā hai
guzre haiñ faqat ek hamīñ dasht-e-balā se
amboh-e-rafīqāñ to kahīñ Thahr gayā hai
kuchh zaḳhm chhupā.e haiñ zamāne kī nazar se
kuchh chaak haiñ aise jinheñ ik 'umr siyā hai
ġham ho ki sukūñ ho hameñ jiinā hai bahar-taur
marne kā ye andāz bhī kyā ḳhuub rahā hai
sho'la hai na aansu hai na shabnam na saba hai
'mumtaz' meri zat faqat harf-e-wafa hai
jo barq bhi girti hai guzarti hai idhar se
aalam ne shayad mera ghar dekh liya hai
guzre hain faqat ek hamin dasht-e-bala se
amboh-e-rafiqan to kahin Thahr gaya hai
kuchh zaKHm chhupae hain zamane ki nazar se
kuchh chaak hain aise jinhen ek 'umr siya hai
gham ho ki sukun ho hamein jina hai bahar-taur
marne ka ye andaz bhi kya KHub raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.