shola-zaron se kabhi aab-e-rawan se guzre
shola-zaron se kabhi aab-e-rawan se guzre
Abdul Qayyum Zaki Aurangabadi
MORE BYAbdul Qayyum Zaki Aurangabadi
sho'la-zāroñ se kabhī āb-e-ravāñ se guzre
ham tirī raah meñ har sūd-o-ziyāñ se guzre
fasl-e-gul se tirī ai dost haiñ mahrūm hanūz
ham abhī tak haiñ isī daur-e-ḳhizāñ se guzre
un ke qadmoñ ke nishāñ dekh le tū bhī aa kar
tere dīvāne abhī bazm-e-jahāñ se guzre
haal kuchh kahne ko pahuñche the ham un ke dar par
zaḳhm siine meñ liye un ke yahāñ se guzre
ghar jalā maal luTā ḳhuun bahā jaan ga.ī
ham tire daur meñ kab amn-o-amāñ se guzre
haa.e vo ‘ahd-e-guzishta ke sunahre ayyām
yuuñ ga.e jaise koī tiir kamāñ se guzre
maut par merī ‘azīzoñ ko 'zakī' kyoñ ġham hai
kaun aisā hai jo ik din na yahāñ se guzre
sho'la-zaron se kabhi aab-e-rawan se guzre
hum teri rah mein har sud-o-ziyan se guzre
fasl-e-gul se teri ai dost hain mahrum hanuz
hum abhi tak hain isi daur-e-KHizan se guzre
un ke qadmon ke nishan dekh le tu bhi aa kar
tere diwane abhi bazm-e-jahan se guzre
haal kuchh kahne ko pahunche the hum un ke dar par
zaKHm sine mein liye un ke yahan se guzre
ghar jala mal luTa KHun baha jaan gai
hum tere daur mein kab amn-o-aman se guzre
hae wo ‘ahd-e-guzishta ke sunahre ayyam
yun gae jaise koi tir kaman se guzre
maut par meri ‘azizon ko 'zaki' kyon gham hai
kaun aisa hai jo ek din na yahan se guzre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.