shoala hun phir bhi barf ke ek pairahan mein hun
sho.ala huuñ phir bhī barf ke ik pairahan meñ huuñ
mahsūs ho rahā hai ki zinda kafan meñ huuñ
ab jāhiloñ sī baat bhī karnā muhāl hai
kaaTī huī zabān kī sūrat dahan meñ huuñ
kyā marhala hai ahd-e-safar se safar talak
paañv ruke hue haiñ musalsal thakan meñ huuñ
chāhat ke har muhīt se bāhar haiñ valvale
hijrat kare hai soch magar ḳhud vatan meñ huuñ
phailā huā huuñ dhuup kī sūrat nagar nagar
'aḳhtar' maiñ bū-e-gul kī tarah har chaman meñ huuñ
shoala hun phir bhi barf ke ek pairahan mein hun
mahsus ho raha hai ki zinda kafan mein hun
ab jahilon si baat bhi karna muhaal hai
kaTi hui zaban ki surat dahan mein hun
kya marhala hai ahd-e-safar se safar talak
panw ruke hue hain musalsal thakan mein hun
chahat ke har muhit se bahar hain walwale
hijrat kare hai soch magar KHud watan mein hun
phaila hua hun dhup ki surat nagar nagar
'aKHtar' main bu-e-gul ki tarah har chaman mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.