shoala meri aankhon se ayan kyon nahin hota
shoala meri aankhon se ayan kyon nahin hota
Anwar-ul-Haq Ahmar Lucknowi
MORE BYAnwar-ul-Haq Ahmar Lucknowi
sho.ala mirī āñkhoñ se ayaañ kyoñ nahīñ hotā
aisā abhī ai soz-e-nihāñ kyoñ nahīñ hotā
aayā huuñ sanam-ḳhāne meñ ka.abe se nikal kar
hāsil mujhe dīdār-e-butāñ kyoñ nahīñ hotā
jab pursish-e-ahvāl pe maa.il haiñ vo ḳhud hī
hāl-e-dil-e-betāb bayāñ kyoñ nahīñ hotā
har-vaqt tasavvur meñ rahā kartā huuñ phir bhī
ābād mire dil kā jahāñ kyoñ nahīñ hotā
jab laal parī shīshe meñ maujūd hai saaqī
phir bazm kā rangīn samāñ kyoñ nahīñ hotā
barbād jo ik aan meñ ho jaatā hai ġhuncha
har ḳhaar magar nazr-e-ḳhizāñ kyoñ nahīñ hotā
chubh jaatā hai jab tīr-e-sitam dil hī meñ jā kar
siine pe ayaañ koī nishāñ kyoñ nahīñ hotā
gulshan meñ nasheman to mirā phūñk chukī phir
ThanDā tirā dil barq-e-tapāñ kyoñ nahīñ hotā
shoala meri aankhon se ayan kyon nahin hota
aisa abhi ai soz-e-nihan kyon nahin hota
aaya hun sanam-KHane mein kabe se nikal kar
hasil mujhe didar-e-butan kyon nahin hota
jab pursish-e-ahwal pe mail hain wo KHud hi
haal-e-dil-e-betab bayan kyon nahin hota
har-waqt tasawwur mein raha karta hun phir bhi
aabaad mere dil ka jahan kyon nahin hota
jab lal pari shishe mein maujud hai saqi
phir bazm ka rangin saman kyon nahin hota
barbaad jo ek aan mein ho jata hai ghuncha
har KHar magar nazr-e-KHizan kyon nahin hota
chubh jata hai jab tir-e-sitam dil hi mein ja kar
sine pe ayan koi nishan kyon nahin hota
gulshan mein nasheman to mera phunk chuki phir
ThanDa tera dil barq-e-tapan kyon nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.