shoala-sifat wo aag ugalta dikhai de
sho.ala-sifat vo aag ugaltā dikhā.ī de
merā vajūd mujh ko pighaltā dikhā.ī de
kis ko sharīk-e-rāh kareñ ham-safar kaheñ
har ik rafīq raah badaltā dikhā.ī de
māyūsiyoñ ke tapte hue reg-zār meñ
paañv har ik ḳhayāl kā jaltā dikhā.ī de
ye vaqt sāzgār kisī ke liye nahīñ
har shaḳhs ab to haath ko maltā dikhā.ī de
ab terī merī raah meñ nafrat kī kaa.ī hai
kaise chalūñ ki paañv phisaltā dikhā.ī de
ab ai 'matīn' dost kī dushman kī kyā tamīz
jis se milo vo zahr ugaltā dikhā.ī de
shoala-sifat wo aag ugalta dikhai de
mera wajud mujh ko pighalta dikhai de
kis ko sharik-e-rah karen ham-safar kahen
har ek rafiq rah badalta dikhai de
mayusiyon ke tapte hue reg-zar mein
panw har ek KHayal ka jalta dikhai de
ye waqt sazgar kisi ke liye nahin
har shaKHs ab to hath ko malta dikhai de
ab teri meri rah mein nafrat ki kai hai
kaise chalun ki panw phisalta dikhai de
ab ai 'matin' dost ki dushman ki kya tamiz
jis se milo wo zahr ugalta dikhai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.