shoalagi ho dekhna ya ho sharara dekhna
sho.alagī ho dekhnā yā ho sharāra dekhnā
dushmanī apnoñ se ho to kyā ḳhasāra dekhnā
hosh baaqī haiñ abhī kuchh jaañ badan meñ hai abhī
ai nigāh-e-sehr-zā mujh ko dobāra dekhnā
mere bachpan lauT aa tū ek lamhe ke liye
chāhtī hai zindagī tujh ko dobāra dekhnā
jab qadam rakh hī diye haiñ rahguzār-e-shauq meñ
aate jaate mausamoñ kā kyā ishāra dekhnā
sar-nigūñ tūfāñ ko karne kā nasha kuchh aur hai
chāhtā hai kaun dariyā kā kinārā dekhnā
kaun sī saa.at hai behtar kaun sā pal Thiik hai
us se milnā hai zarā tum istiḳhāra dekhnā
dil ko bhātā hai bahut bārish ke tham jaane ke baa'd
dhuup khilnā bādaloñ ko pāra-pāra dekhnā
maiñ to jab bhī dekhtā huuñ us kā chehra hī lage
sub.h kī dahlīz par raushan sitāra dekhnā
itnī āsāñ bhī nahīñ 'yāvar' hamārī shā.erī
gar samajhnā ho hameñ to isti.āra dekhnā
shoalagi ho dekhna ya ho sharara dekhna
dushmani apnon se ho to kya KHasara dekhna
hosh baqi hain abhi kuchh jaan badan mein hai abhi
ai nigah-e-sehr-za mujh ko dobara dekhna
mere bachpan lauT aa tu ek lamhe ke liye
chahti hai zindagi tujh ko dobara dekhna
jab qadam rakh hi diye hain rahguzar-e-shauq mein
aate jate mausamon ka kya ishaara dekhna
sar-nigun tufan ko karne ka nasha kuchh aur hai
chahta hai kaun dariya ka kinara dekhna
kaun si saat hai behtar kaun sa pal Thik hai
us se milna hai zara tum istiKHara dekhna
dil ko bhata hai bahut barish ke tham jaane ke ba'd
dhup khilna baadalon ko para-para dekhna
main to jab bhi dekhta hun us ka chehra hi lage
subh ki dahliz par raushan sitara dekhna
itni aasan bhi nahin 'yawar' hamari shaeri
gar samajhna ho hamein to istiara dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.