shohraton ki hamein lalak hai bahut
shohratoñ kī hameñ lalak hai bahut
ḳhud-numā.ī meñ kyā chamak hai bahut
bujh rahe haiñ charāġh āñkhoñ ke
ik dhuñdalkā sā duur tak hai bahut
lamha bhar kā faqat dhamākā hai
bijliyoñ meñ kahāñ chamak hai bahut
zaḳhm to bhar chuke sabhī lekin
ab bhī ehsās kī kasak hai bahut
peḌ būḌhā sahī magar phir bhī
Tahniyoñ meñ abhī lachak hai bahut
nik.hat-e-gul se ham ko kyā lenā
zaḳhm khul jaa.eñ to mahak hai bahut
chīḳh uTThīñ ḳhamoshiyāñ bhī 'zafar'
is bayābāñ meñ kyoñ dhamak hai bahut
shohraton ki hamein lalak hai bahut
KHud-numai mein kya chamak hai bahut
bujh rahe hain charagh aankhon ke
ek dhundalka sa dur tak hai bahut
lamha bhar ka faqat dhamaka hai
bijliyon mein kahan chamak hai bahut
zaKHm to bhar chuke sabhi lekin
ab bhi ehsas ki kasak hai bahut
peD buDha sahi magar phir bhi
Tahniyon mein abhi lachak hai bahut
nikhat-e-gul se hum ko kya lena
zaKHm khul jaen to mahak hai bahut
chiKH uTThin KHamoshiyan bhi 'zafar'
is bayaban mein kyon dhamak hai bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.