shoKH-ada ne mar diya hai
shoḳh-adā ne maar diyā hai
maiñ ne sab kuchh haar diyā hai
jis ne pyaar se dekhā mujh ko
us par sab kuchh vaar diyā hai
aaya thā kal saath vo chalne
maiñ ne kar inkār diyā hai
qātil hai vo yaaro merā
us ne mujh ko maar diyā hai
har pal us ke dam se raushan
mere ghar kā yaar diyā hai
aage terī marzī 'ahmad'
maiñ ne kar iz.hār diyā hai
shoKH-ada ne mar diya hai
main ne sab kuchh haar diya hai
jis ne pyar se dekha mujh ko
us par sab kuchh war diya hai
aaya tha kal sath wo chalne
main ne kar inkar diya hai
qatil hai wo yaro mera
us ne mujh ko mar diya hai
har pal us ke dam se raushan
mere ghar ka yar diya hai
aage teri marzi 'ahmad'
main ne kar izhaar diya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.