shoKHi machal machal kar mastana kah rahi hai
shoKHi machal machal kar mastana kah rahi hai
Syed Zaheer Ahmad Zaidi
MORE BYSyed Zaheer Ahmad Zaidi
shoḳhī machal machal kar mastāna kah rahī hai
dīvāngī-e-vahshat dīvāna kah rahī hai
ik sham.a jal rahī hai mere harīm-e-dil meñ
jo soz-e-be-ḳhudī kā afsāna kah rahī hai
har rang meñ numāyāñ har rang se barī ho
merī nazar se pūchho kyā kyā na kah rahī hai
nargis kī aañkh meñ hai mai-kash kā raaz pinhāñ
jis ko nigāh terī paimāna kah rahī hai
sarmast chashm-e-sāqī maḳhmūr chashm-e-sāqī
mai-ḳhāna-e-azal kā afsāna kah rahī hai
lo dekh lo vo aa.e bāda-ba-jām aa.e
ḳhush-āmdīd ḳhāk-e-mai-ḳhāna kah rahī hai
saaqī kī hai duhā.ī saaqī kī hai duhā.ī
tishna zabān-e-mai-kash mastāna kah rahī hai
is nā-murād dil ne logoñ kā kyā bigāḌā
kam-baḳht ko jo duniyā dīvāna kah rahī hai
jis ne 'fazā' ke dil ko maḳhmūr kar diyā hai
us kā fazā-e-ālam afsāna kah rahī hai
shoKHi machal machal kar mastana kah rahi hai
diwangi-e-wahshat diwana kah rahi hai
ek shama jal rahi hai mere harim-e-dil mein
jo soz-e-be-KHudi ka afsana kah rahi hai
har rang mein numayan har rang se bari ho
meri nazar se puchho kya kya na kah rahi hai
nargis ki aankh mein hai mai-kash ka raaz pinhan
jis ko nigah teri paimana kah rahi hai
sarmast chashm-e-saqi maKHmur chashm-e-saqi
mai-KHana-e-azal ka afsana kah rahi hai
lo dekh lo wo aae baada-ba-jam aae
KHush-amdid KHak-e-mai-KHana kah rahi hai
saqi ki hai duhai saqi ki hai duhai
tishna zaban-e-mai-kash mastana kah rahi hai
is na-murad dil ne logon ka kya bigaDa
kam-baKHt ko jo duniya diwana kah rahi hai
jis ne 'faza' ke dil ko maKHmur kar diya hai
us ka faza-e-alam afsana kah rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.