shor andar jo hai barpa wo sada ho na saka
shor andar jo hai barpā vo sadā ho na sakā
lafz zanjīr-e-ma.ānī se rihā ho na sakā
baat chaukhaT se jo niklī to jabīñ tak pahuñchī
phir jo sajda mujhe karnā thā adā ho na sakā
itnī sī baat meñ simTī thī kahānī saarī
us kī maiñ ho na sakī aur vo mirā ho na sakā
har sanam-ḳhāne kī qismat nahīñ ka.abe jaisī
dil meñ jo but thā sajāyā vo ḳhudā ho na sakā
ālam-e-kun meñ rahā shor mire hone kā
phir koī hādisa mujh se bhī nayā ho na sakā
tohmat-e-ahd-e-tamanna se bhī nayā ho na sakā
aaj tak jis se koī ahd vafā ho na sakā
shor andar jo hai barpa wo sada ho na saka
lafz zanjir-e-maani se riha ho na saka
baat chaukhaT se jo nikli to jabin tak pahunchi
phir jo sajda mujhe karna tha ada ho na saka
itni si baat mein simTi thi kahani sari
us ki main ho na saki aur wo mera ho na saka
har sanam-KHane ki qismat nahin kabe jaisi
dil mein jo but tha sajaya wo KHuda ho na saka
aalam-e-kun mein raha shor mere hone ka
phir koi hadisa mujh se bhi naya ho na saka
tohmat-e-ahd-e-tamanna se bhi naya ho na saka
aaj tak jis se koi ahd wafa ho na saka
- Book : ردائے ہجر (Pg. 92)
- Author : تسنیم عابدی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.