shor dil mein baqa hi rahta hai
shor dil meñ baqā hī rahtā hai
kuchh na kuchh TūTtā hī rahtā hai
jaan de de koī kisī ke liye
bevafā bevafā hī rahtā hai
kitne chehre haiñ mere ham-sā.e
saath lekin ḳhalā hī rahtā hai
terā dāman phisaltā paara hai
bārhā chhūTtā hī rahtā hai
sab ḳhatā.eñ haiñ mere hisse meñ
vo sadā be-ḳhatā hī rahtā hai
us ke sadqe meñ har ḳhushī de dī
shaḳhs vo phir ḳhafā hī rahtā hai
'sārthī' dil kī ujḌī bastī meñ
koī sho.ala jalā hī rahtā hai
shor dil mein baqa hi rahta hai
kuchh na kuchh TuTta hi rahta hai
jaan de de koi kisi ke liye
bewafa bewafa hi rahta hai
kitne chehre hain mere ham-sae
sath lekin KHala hi rahta hai
tera daman phisalta para hai
barha chhuTta hi rahta hai
sab KHataen hain mere hisse mein
wo sada be-KHata hi rahta hai
us ke sadqe mein har KHushi de di
shaKHs wo phir KHafa hi rahta hai
'sarthi' dil ki ujDi basti mein
koi shoala jala hi rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.