shor-e-jahan se jab thak jao mujhko tanha paDhna tum
shor-e-jahāñ se jab thak jaao mujh ko tanhā paḌhnā tum
sīdhā sīdhā dil pe lagūñgā ik din ulTā paḌhnā tum
hijr kī qasmeñ likkhī huī haiñ zard purāne pattoñ par
koī apnā bichhaḌ chalā to phir se milnā paḌhnā tum
dariyā par kuchh tahrīreñ haiñ tez havā ke hāthoñ kī
qudrat kī naqqāshī vaalā ik ik jalva paḌhnā tum
ġham kā fasāna yaad aa jaa.e shāyad raushan lafzoñ meñ
apnī mohabbat ke chashme se merā chehra paḌhnā tum
nayā zamāna bhuul chukā hai ga.e zamāne kī qadreñ
jab chehroñ kī bhiiḌ lagī ho kuchh to apnā paḌhnā tum
jaane kab se sat.h-e-adab par aisā hī hai likkhā huā
likhnā likhnā siikh ga.e to paḌhnā paḌhnā paḌhnā tum
be-jāñ in tasvīroñ meñ ab āvāzoñ ke rang bhareñ
donoñ kā maiñ naam likhūñgā chāhe apnā paḌhnā tum
shor-e-jahan se jab thak jao mujh ko tanha paDhna tum
sidha sidha dil pe lagunga ek din ulTa paDhna tum
hijr ki qasmen likkhi hui hain zard purane patton par
koi apna bichhaD chala to phir se milna paDhna tum
dariya par kuchh tahriren hain tez hawa ke hathon ki
qudrat ki naqqashi wala ek ek jalwa paDhna tum
gham ka fasana yaad aa jae shayad raushan lafzon mein
apni mohabbat ke chashme se mera chehra paDhna tum
naya zamana bhul chuka hai gae zamane ki qadren
jab chehron ki bhiD lagi ho kuchh to apna paDhna tum
jaane kab se sath-e-adab par aisa hi hai likkha hua
likhna likhna sikh gae to paDhna paDhna paDhna tum
be-jaan in taswiron mein ab aawazon ke rang bharen
donon ka main nam likhunga chahe apna paDhna tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.