shor itna hai ki tanhai ho mahfil jaise
shor itnā hai ki tanhā.ī ho mahfil jaise
kisī tūfān kī zad meñ koī sāhil jaise
use dekhā to ḳhayāloñ meñ jo manzil thī ga.ī
vo hī thā merī tamannāoñ kā hāsil jaise
maiñ to samjhā thā ki ham donoñ kā jazbāt hai naam
aaj lagte ho magar tum kisī aaqil jaise
hama-tan gosh huuñ āvāz pe us kī aise
mere siine meñ dhaḌaktā ho tirā dil jaise
pahlī manzil pe hī qurbān huā yuuñ 'ārif'
tai hue manzil irfāñ ke marāhil jaise
shor itna hai ki tanhai ho mahfil jaise
kisi tufan ki zad mein koi sahil jaise
use dekha to KHayalon mein jo manzil thi gai
wo hi tha meri tamannaon ka hasil jaise
main to samjha tha ki hum donon ka jazbaat hai nam
aaj lagte ho magar tum kisi aaqil jaise
hama-tan gosh hun aawaz pe us ki aise
mere sine mein dhaDakta ho tera dil jaise
pahli manzil pe hi qurban hua yun 'arif'
tai hue manzil irfan ke marahil jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.