shor se bach kar sahma sahma baiTha hai chup-chap
shor se bach kar sahmā sahmā baiThā hai chup-chāp
hañgāmoñ kā baanī dekho kaisā hai chup-chāp
apne man ke pāgal-pan ko aur kahāñ le jaa.eñ
duur duur tak ret kā sahrā leTā hai chup-chāp
añg añg meñ lams kī ḳhushbū peñgeñ letī hai
añg añg meñ jaise koī baiThā hai chup-chāp
rishtoñ kī dīvāreñ Dhā kar mere jaisā shaḳhs
din ke zard pahāḌ ke pīchhe utrā hai chup-chāp
log na jaane kaisī kaisī bāteñ karte haiñ
mere paas to merā saayā leTā hai chup-chāp
shor se bach kar sahma sahma baiTha hai chup-chap
hangamon ka bani dekho kaisa hai chup-chap
apne man ke pagal-pan ko aur kahan le jaen
dur dur tak ret ka sahra leTa hai chup-chap
ang ang mein lams ki KHushbu pengen leti hai
ang ang mein jaise koi baiTha hai chup-chap
rishton ki diwaren Dha kar mere jaisa shaKHs
din ke zard pahaD ke pichhe utra hai chup-chap
log na jaane kaisi kaisi baaten karte hain
mere pas to mera saya leTa hai chup-chap
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.