shor-sharaba chhoD ke pahuncha virani tak
shor-sharāba chhoḌ ke pahuñchā vīrānī tak
chalte chalte chhūT gayā dāna-pānī tak
aag ne mujh se haath milāyā ghar aa baiThī
āñkheñ phāḌe dekh rahī hai hairānī tak
Duub ga.e to saarī duniyā burā kahegī
dekho mujh meñ paaoñ na rakhnā tuġhyānī tak
itnā āsāñ to nahīñ us kā vāpas honā
bech ke īmāñ pahuñchā hai be-īmānī tak
sub.h ko uTh kar dekhā to mujh par raaz khulā ye
chāñd kī saarī shohrat hai bas tābānī tak
ham to ham haiñ tājvaroñ par ro.ab vo chhāyā
paaoñ pe us ke rakh diye tāj-e-sultānī tak
aag dar-o-dīvār ḳhirad ko raakh banā.e
kuchh na bache to ham ko pahuñchā.e paanī tak
sharm se koī marnā chāhe to bhī kare kyā
'yāvar' ab nāyāb hai chullū-bhar paanī tak
shor-sharaba chhoD ke pahuncha virani tak
chalte chalte chhuT gaya dana-pani tak
aag ne mujh se hath milaya ghar aa baiThi
aankhen phaDe dekh rahi hai hairani tak
Dub gae to sari duniya bura kahegi
dekho mujh mein paon na rakhna tughyani tak
itna aasan to nahin us ka wapas hona
bech ke iman pahuncha hai be-imani tak
subh ko uTh kar dekha to mujh par raaz khula ye
chand ki sari shohrat hai bas tabani tak
hum to hum hain tajwaron par roab wo chhaya
paon pe us ke rakh diye taj-e-sultani tak
aag dar-o-diwar KHirad ko rakh banae
kuchh na bache to hum ko pahunchae pani tak
sharm se koi marna chahe to bhi kare kya
'yawar' ab nayab hai chullu-bhar pani tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.