shorish-e-beganagi ki ibtida humse hui
shorish-e-begānagī kī ibtidā ham se huī
paas rah kar duur rahne kī ḳhatā ham se huī
zindagī meñ kaun se ham se gunah sarzad hue
kyoñ tirī chashm-e-karam nā-āshnā ham se huī
māsivā-e-dīd terī ham ne kuchh chāhā na thā
kis ne kī thī iltijā kab iltijā ham se huī
tere dar par mere sajde dard se labrez the
aise meñ tauhīn kyūñkar jā-ba-jā ham se huī
log apnā hāl-e-dil gītoñ meñ karte haiñ bayāñ
ishq meñ to ibtidā hamd-o-sanā ham se huī
jaan lete rāz-e-hastī rāz-e-haq hotā agar
terī qudrat yuuñ to sūrat-āshnā ham se huī
dil hī thā jo ranj-o-ġham meñ shor-o-shar kartā rahā
fart-e-ġham meñ shorish-e-arz-o-samā ham se huī
āshiyāñ ujḌā guloñ ke chehre murjhā.e 'rafīq'
kyā gunah-ālūda ye bād-e-sabā ham se huī
shorish-e-beganagi ki ibtida hum se hui
pas rah kar dur rahne ki KHata hum se hui
zindagi mein kaun se hum se gunah sarzad hue
kyon teri chashm-e-karam na-ashna hum se hui
masiwa-e-did teri hum ne kuchh chaha na tha
kis ne ki thi iltija kab iltija hum se hui
tere dar par mere sajde dard se labrez the
aise mein tauhin kyunkar ja-ba-ja hum se hui
log apna haal-e-dil giton mein karte hain bayan
ishq mein to ibtida hamd-o-sana hum se hui
jaan lete raaz-e-hasti raaz-e-haq hota agar
teri qudrat yun to surat-ashna hum se hui
dil hi tha jo ranj-o-gham mein shor-o-shar karta raha
fart-e-gham mein shorish-e-arz-o-sama hum se hui
aashiyan ujDa gulon ke chehre murjhae 'rafiq'
kya gunah-aluda ye baad-e-saba hum se hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.