shorish-e-sang-e-hawas ko gard main karta chalun
shorish-e-sang-e-havas ko gard maiñ kartā chalūñ
zard lamhoñ kī tapish ko sard maiñ kartā chalūñ
jab bhī apne ghar se niklūñ zindagī kī dhuup meñ
surḳh kāñToñ kī anā ko zard maiñ kartā chalūñ
soḳhta zaḳhmoñ ko ThanDā kar na pā.egī havā
us kī sāñsoñ ko sharīk-e-dard maiñ kartā chalūñ
ret ke amboh meñ chhuptā nahīñ motī koī
bhiiḌ meñ rah kar bhī ḳhud ko fard maiñ kartā chalūñ
kab talak guzregā koī garmī-e-afkār se
jalte lafzoñ ke badan ko sard maiñ kartā chalūñ
rang-o-bū kī tāzgī meñ hai sukūn-e-dil 'nazar'
kis liye in manzaroñ ko zard maiñ kartā chalūñ
shorish-e-sang-e-hawas ko gard main karta chalun
zard lamhon ki tapish ko sard main karta chalun
jab bhi apne ghar se niklun zindagi ki dhup mein
surKH kanTon ki ana ko zard main karta chalun
soKHta zaKHmon ko ThanDa kar na paegi hawa
us ki sanson ko sharik-e-dard main karta chalun
ret ke amboh mein chhupta nahin moti koi
bhiD mein rah kar bhi KHud ko fard main karta chalun
kab talak guzrega koi garmi-e-afkar se
jalte lafzon ke badan ko sard main karta chalun
rang-o-bu ki tazgi mein hai sukun-e-dil 'nazar'
kis liye in manzaron ko zard main karta chalun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.