shorish-e-zaKHm-e-jigar tab-o-tawan tak lae
shorish-e-zaḳhm-e-jigar tāb-o-tavāñ tak laa.e
is baġhāvat ko hamīñ mohr-e-dahāñ tak laa.e
dekho to zarf-e-dil-e-chāk bhī ai dād-rasāñ
chashm-e-pur-āb ko bhī dasht-e-tapāñ tak laa.e
kaun vāqif thā tire husn ke charchoñ se yahāñ
ham ise shauq se har ḳhurd-o-kalāñ tak laa.e
ek ummīd pe shāyad ki vo ḳhvāboñ meñ mile
chashm-e-betāb ko ham ḳhvāb-e-girāñ tak laa.e
hai vo dīvāngī meñ hālat-e-ḳhāna-bezār
ki use phir se qubūl-e-rag-e-jāñ tak laa.e
kaun jaane dil-e-muztar ke tamāshe 'ākif'
Tuut kar phir ḳhudī ko tab'-e-ravāñ tak laa.e
shorish-e-zaKHm-e-jigar tab-o-tawan tak lae
is baghawat ko hamin mohr-e-dahan tak lae
dekho to zarf-e-dil-e-chaak bhi ai dad-rasan
chashm-e-pur-ab ko bhi dasht-e-tapan tak lae
kaun waqif tha tere husn ke charchon se yahan
hum ise shauq se har KHurd-o-kalan tak lae
ek ummid pe shayad ki wo KHwabon mein mile
chashm-e-betab ko hum KHwab-e-giran tak lae
hai wo diwangi mein haalat-e-KHana-bezar
ki use phir se qubul-e-rag-e-jaan tak lae
kaun jaane dil-e-muztar ke tamashe 'akif'
Tut kar phir KHudi ko tab'-e-rawan tak lae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.