shughl hi shughl hai aur aah-e-sahar se kya kaam
shughl hi shughl hai aur aah-e-sahar se kya kaam
Muztar Muzaffarpuri
MORE BYMuztar Muzaffarpuri
shuġhl hī shuġhl hai aur āh-e-sahar se kyā kaam
dard-mandān-e-mohabbat ko asar se kyā kaam
abrū apnī salāmat rahe zar se kyā kaam
ashk-e-tar se mujhe matlab hai guhar se kyā kaam
yaad se gesū-o-ruḳh kī jinheñ matlab Thahrā
shaam se un ko ġharaz kyā hai sahar se kyā kaam
tū ho zulfeñ hoñ tirī shāna ho ā.īna ho
tujh ko be-dard mire dard-e-jigar se kyā kaam
terī ulfat hī nahīñ dil meñ to dil se matlab
terā saudā hī nahīñ sar meñ to sar se kyā kaam
sarguzasht-e-dil-e-majrūh likhī zālim ko
hijr meñ ham ne liyā ḳhūn-e-jigar se kyā kaam
jin ko hañs hañs ke rulānā hī faqat aatā ho
un ke dāman ko mire dīda-e-tar se kyā kaam
dil-e-nāzuk na dhaḌak jaa.e kisī kā 'muztar'
ḳhuun jab ye ho to nāloñ ko asar se kyā kaam
shughl hi shughl hai aur aah-e-sahar se kya kaam
dard-mandan-e-mohabbat ko asar se kya kaam
abru apni salamat rahe zar se kya kaam
ashk-e-tar se mujhe matlab hai guhar se kya kaam
yaad se gesu-o-ruKH ki jinhen matlab Thahra
sham se un ko gharaz kya hai sahar se kya kaam
tu ho zulfen hon teri shana ho aaina ho
tujh ko be-dard mere dard-e-jigar se kya kaam
teri ulfat hi nahin dil mein to dil se matlab
tera sauda hi nahin sar mein to sar se kya kaam
sarguzasht-e-dil-e-majruh likhi zalim ko
hijr mein hum ne liya KHun-e-jigar se kya kaam
jin ko hans hans ke rulana hi faqat aata ho
un ke daman ko mere dida-e-tar se kya kaam
dil-e-nazuk na dhaDak jae kisi ka 'muztar'
KHun jab ye ho to nalon ko asar se kya kaam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.