shukr karne ko hai zaban koi
shukr karne ko hai zabāñ koī
aaj shāyad hai mehrbāñ koī
hai tamanna abhī javāñ koī
aur baaqī hai imtihāñ koī
laakh kahlā.e lā-makāñ koī
dil ko matlūb hai nishāñ koī
hai bahāroñ pe gulsitāñ koī
gul khilāne ko hai jahāñ koī
ye tasavvur meñ aa rahā hai nazar
mere un ke hai darmiyāñ koī
hosh aa.e to āstāñ DhūñDe
sajda-gar ho to kyoñ kahāñ koī
kyā kisī ne mujhe pukārā phir
aur baaqī hai imtihāñ koī
chashm-e-rindāñ ye rang hai dil kā
hai nigāhoñ meñ āsmāñ koī
rind jaur-e-falak se nālāñ haiñ
aur DhūñDeñge āstāñ koī
aah karne se manā kartā hai
soz-e-dil meñ bhī hai nihāñ koī
be-ruḳhī ishq se nahīñ achchhī
ban na jaa.e ye dāstāñ koī
ye chaman hai to ham bhī ai sayyād
phir banā leñge āshiyāñ koī
is liye sāmne nahīñ aate
raaz ho jā.egā ayaañ koī
ġham kī duniyā meñ ḳhush-nasībī se
'shād' hotā hai mehrbāñ koī
shukr karne ko hai zaban koi
aaj shayad hai mehrban koi
hai tamanna abhi jawan koi
aur baqi hai imtihan koi
lakh kahlae la-makan koi
dil ko matlub hai nishan koi
hai bahaaron pe gulsitan koi
gul khilane ko hai jahan koi
ye tasawwur mein aa raha hai nazar
mere un ke hai darmiyan koi
hosh aae to aastan DhunDe
sajda-gar ho to kyon kahan koi
kya kisi ne mujhe pukara phir
aur baqi hai imtihan koi
chashm-e-rindan ye rang hai dil ka
hai nigahon mein aasman koi
rind jaur-e-falak se nalan hain
aur DhunDenge aastan koi
aah karne se mana karta hai
soz-e-dil mein bhi hai nihan koi
be-ruKHi ishq se nahin achchhi
ban na jae ye dastan koi
ye chaman hai to hum bhi ai sayyaad
phir bana lenge aashiyan koi
is liye samne nahin aate
raaz ho jaega ayan koi
gham ki duniya mein KHush-nasibi se
'shad' hota hai mehrban koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.