shumar karta hai mujhko wo har kisi ki tarah
shumār kartā hai mujh ko vo har kisī kī tarah
mujhe to maut bhī aatī hai zindagī kī tarah
jahāñ ke peḌ bhī ham se kalām karte the
ab us galī se guzarte haiñ ajnabī kī tarah
tujhe bayān bhī kar duuñ pa kaun mānegā
utar rahā hai tū mujh meñ kisī vah.y kī tarah
vo tishna-lab huuñ ki patthar nichoḌ kar rakh duuñ
magar ye pyaas to bahtī nahīñ nadī kī tarah
maiñ us ko dekhtā rahtā huuñ TikTikī bāñdhe
fasīl ghūmne lagtī hai phir ghaḌī kī tarah
zarā sī der ko ojhal agar vo hotā hai
añdherā phailne lagtā hai raushnī kī tarah
shumar karta hai mujh ko wo har kisi ki tarah
mujhe to maut bhi aati hai zindagi ki tarah
jahan ke peD bhi hum se kalam karte the
ab us gali se guzarte hain ajnabi ki tarah
tujhe bayan bhi kar dun pa kaun manega
utar raha hai tu mujh mein kisi wahy ki tarah
wo tishna-lab hun ki patthar nichoD kar rakh dun
magar ye pyas to bahti nahin nadi ki tarah
main us ko dekhta rahta hun TikTiki bandhe
fasil ghumne lagti hai phir ghaDi ki tarah
zara si der ko ojhal agar wo hota hai
andhera phailne lagta hai raushni ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.