shuur-e-gham ki tanhai se jal-thal ho chuki hai
shu.ūr-e-ġham kī tanhā.ī se jal-thal ho chukī hai
maiñ koī zindagī thā jo mo.attal ho chukī hai
koī imdād kā pahlū nikal aane se pahle
jo mushkil thī hamāre sāmne hal ho chukī hai
sahar kā jism kyoñ takte nahīñ haiñ bastī vaale
shab-e-uftād to āñkhoñ se ojhal ho chukī hai
na ab dikhlāo un se miltā-jultā koī chehra
mire andar kī duniyā kab kī pāgal ho chukī hai
huī nazdīk manzil to nahīñ chalne kā yaarā
badan kamzor hai yā khaal bojhal ho chukī hai
hamāre sar se abr-e-āfiyat guzre to jāneñ
havā raftār meñ kitnī musalsal ho chukī hai
fasīleñ sāmrājī tauq pahne ro rahī haiñ
kahānī shāhzādoñ kī mukammal ho chukī hai
shuur-e-gham ki tanhai se jal-thal ho chuki hai
main koi zindagi tha jo moattal ho chuki hai
koi imdad ka pahlu nikal aane se pahle
jo mushkil thi hamare samne hal ho chuki hai
sahar ka jism kyon takte nahin hain basti wale
shab-e-uftad to aankhon se ojhal ho chuki hai
na ab dikhlao un se milta-julta koi chehra
mere andar ki duniya kab ki pagal ho chuki hai
hui nazdik manzil to nahin chalne ka yara
badan kamzor hai ya khaal bojhal ho chuki hai
hamare sar se abr-e-afiyat guzre to jaanen
hawa raftar mein kitni musalsal ho chuki hai
fasilen samraji tauq pahne ro rahi hain
kahani shahzadon ki mukammal ho chuki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.