shuur-e-gham ko jaga iztirab paida kar
shuur-e-gham ko jaga iztirab paida kar
Chandra Parkash Jauhar Bijnauri
MORE BYChandra Parkash Jauhar Bijnauri
shu.ūr-e-ġham ko jagā iztirāb paidā kar
nafas nafas meñ nayā inqalāb paidā kar
shuā-e-nūr se zarroñ ko de ke tābānī
ik āftāb se laakh āftāb paidā kar
nashāt-e-ġham se mayassar hai zindagī ko faroġh
numūd-e-ġham se ġham-e-be-hisāb paidā kar
hai iztirāb meñ muzmar tirī hayāt kā raaz
sukūñ kā naam na le iztirāb paidā kar
shikast-e-jām pe buniyād-e-ishq-o-mastī rakh
shikast-e-rang se kaif-e-sharāb paidā kar
jahān-e-nau kā tasavvur bajā sahī lekin
jahān-e-husn kā pahle javāb paidā kar
jo zindagī ko banā de ik aa.ina 'jauhar'
ruḳh-e-hayāt meñ vo āb-o-tāb paidā kar
shuur-e-gham ko jaga iztirab paida kar
nafas nafas mein naya inqalab paida kar
shua-e-nur se zarron ko de ke tabani
ek aaftab se lakh aaftab paida kar
nashat-e-gham se mayassar hai zindagi ko farogh
numud-e-gham se gham-e-be-hisab paida kar
hai iztirab mein muzmar teri hayat ka raaz
sukun ka nam na le iztirab paida kar
shikast-e-jam pe buniyaad-e-ishq-o-masti rakh
shikast-e-rang se kaif-e-sharab paida kar
jahan-e-nau ka tasawwur baja sahi lekin
jahan-e-husn ka pahle jawab paida kar
jo zindagi ko bana de ek aaina 'jauhar'
ruKH-e-hayat mein wo aab-o-tab paida kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.