shuur-e-ilm-o-hunar dars-e-agahi ke liye
shu.ūr-e-ilm-o-hunar dars-e-āgahī ke liye
matā-e-hosh baḌī shai hai aadmī ke liye
koī bhī aarzū dil kī na ho sakī puurī
ḳhudā rahīm hai shāyad kisī kisī ke liye
yahī taqāzā-e-fitrat yahī hai rāz-e-hayāt
ḳhulūs chāhiye insāñ meñ har kisī ke liye
lahū se apne farozāñ rakho charāġhoñ ko
ye ehtimām zarūrī hai tīrgī ke liye
ulaT bhī dījiye ruḳh se naqāb-e-nīm-shabī
añdhere kab se haiñ betāb raushnī ke liye
pata nahīñ jinheñ kyā shai ye lazzat-e-ġham hai
malūl hī unheñ paayā shaguftagī ke liye
mirā shu.ūr mujhe roktā hai ai 'zākir'
koī baḌhātā hai jab haath dostī ke liye
shuur-e-ilm-o-hunar dars-e-agahi ke liye
mata-e-hosh baDi shai hai aadmi ke liye
koi bhi aarzu dil ki na ho saki puri
KHuda rahim hai shayad kisi kisi ke liye
yahi taqaza-e-fitrat yahi hai raaz-e-hayat
KHulus chahiye insan mein har kisi ke liye
lahu se apne farozan rakho charaghon ko
ye ehtimam zaruri hai tirgi ke liye
ulaT bhi dijiye ruKH se naqab-e-nim-shabi
andhere kab se hain betab raushni ke liye
pata nahin jinhen kya shai ye lazzat-e-gham hai
malul hi unhen paya shaguftagi ke liye
mera shuur mujhe rokta hai ai 'zakir'
koi baDhata hai jab hath dosti ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.