shuur-e-ishq hasil ho to jine ka shiar aae
shu.ūr-e-ishq hāsil ho to jiine kā shi.ār aa.e
hamāre bāzūoñ meñ āsmān-e-be-hisār aa.e
bahut chāhā mileñ peḌoñ ke saa.e saath phūloñ kā
mire hisse meñ lekin zindagī ke reg-zār aa.e
khulā ham par ki e.azāz-e-shahādat ham ko milnā hai
gharoñ ghar dastakeñ de diiñ galī kūcha pukār aa.e
asā himmat kā apnī har jagah rasta banā degā
hamāre sāmne naddī paḌe yā kohsār aa.e
agar ye tai nahīñ hai phuul ham ko mil hī jā.eñge
to phir behtar yahī hai ham ko zaḳhmoñ kā shumār aa.e
tahoñ meñ so rahā hai ik talātum ārzūoñ kā
samundar chāñd ko dekhe to maujoñ meñ ubhār aa.e
'niyāz' ek kaam thā sar de ke karne kā so kar Daalā
fasīl-e-shahr se bātil kā parcham ham utaar aa.e
shuur-e-ishq hasil ho to jine ka shiar aae
hamare bazuon mein aasman-e-be-hisar aae
bahut chaha milen peDon ke sae sath phulon ka
mere hisse mein lekin zindagi ke reg-zar aae
khula hum par ki eazaz-e-shahadat hum ko milna hai
gharon ghar dastaken de din gali kucha pukar aae
asa himmat ka apni har jagah rasta bana dega
hamare samne naddi paDe ya kohsar aae
agar ye tai nahin hai phul hum ko mil hi jaenge
to phir behtar yahi hai hum ko zaKHmon ka shumar aae
tahon mein so raha hai ek talatum aarzuon ka
samundar chand ko dekhe to maujon mein ubhaar aae
'niyaz' ek kaam tha sar de ke karne ka so kar Dala
fasil-e-shahr se baatil ka parcham hum utar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.