shuur-e-KHas ata kar diya gaya hai mujhe
shu.ūr-e-ḳhās atā kar diyā gayā hai mujhe
tabhī to sab se judā kar diyā gayā hai mujhe
maiñ bandagī ke bhī me.aar se girā huā huuñ
ḳhudā kī ḳhair ḳhudā kar diyā gayā hai mujhe
maiñ ishq 'ain-tasavvuf kī rū se jaa.ez huuñ
burā nahīñ huuñ burā kar diyā gayā hai mujhe
ye ġhaflateñ to mire ḳhvāb se bhī Dartī haiñ
mirā zamīr jagā kar diyā gayā hai mujhe
vo mujh se pūchh rahe the mirī koī ḳhvāhish
mujhe lagā ki rihā kar diyā gayā hai mujhe
use to ab bhī talab sī lagī huī hai koī
maiñ qarz thā so adā kar diyā gayā hai mujhe
taḌap rahī hai mirī ruuh tak abhī 'shāhid'
ye zahr kuchh to milā kar diyā gayā hai mujhe
shuur-e-KHas ata kar diya gaya hai mujhe
tabhi to sab se juda kar diya gaya hai mujhe
main bandagi ke bhi mear se gira hua hun
KHuda ki KHair KHuda kar diya gaya hai mujhe
main ishq 'ain-tasawwuf ki ru se jaez hun
bura nahin hun bura kar diya gaya hai mujhe
ye ghaflaten to mere KHwab se bhi Darti hain
mera zamir jaga kar diya gaya hai mujhe
wo mujh se puchh rahe the meri koi KHwahish
mujhe laga ki riha kar diya gaya hai mujhe
use to ab bhi talab si lagi hui hai koi
main qarz tha so ada kar diya gaya hai mujhe
taDap rahi hai meri ruh tak abhi 'shahid'
ye zahr kuchh to mila kar diya gaya hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.