shuur-e-zat ka sauda kahin saron mein na tha
shu.ūr-e-zāt kā saudā kahīñ saroñ meñ na thā
ki ab shumār kisī kā payambaroñ meñ na thā
kisī ke lab pe shikāyat na thī añdhere kī
koī charāġh bhī jaltā huā gharoñ meñ na thā
jo pattharoñ pe bhī so jaatā thā sukūn kī niiñd
ab us ko chain kahīñ narm bistaroñ meñ na thā
pighalne kī vo rivāyat to mom meñ bhī na thī
vo saḳht-pan bhī kahīñ aaj pattharoñ meñ na thā
abhī abhī hī maiñ jis din se mil ke aayā huuñ
vo din to saal ke saare calenderoñ meñ na thā
na koī naqsh hī duniyā meñ mil sakā terā
tirā pata kahīñ lāshoñ ke pinjroñ meñ na thā
bahut dinoñ se haiñ jhīleñ bhī pur-sukūn 'salīm'
vo iztirāb bhī ab to samundaroñ meñ na thā
shuur-e-zat ka sauda kahin saron mein na tha
ki ab shumar kisi ka payambaron mein na tha
kisi ke lab pe shikayat na thi andhere ki
koi charagh bhi jalta hua gharon mein na tha
jo pattharon pe bhi so jata tha sukun ki nind
ab us ko chain kahin narm bistaron mein na tha
pighalne ki wo riwayat to mom mein bhi na thi
wo saKHt-pan bhi kahin aaj pattharon mein na tha
abhi abhi hi main jis din se mil ke aaya hun
wo din to sal ke sare calenderon mein na tha
na koi naqsh hi duniya mein mil saka tera
tera pata kahin lashon ke pinjron mein na tha
bahut dinon se hain jhilen bhi pur-sukun 'salim'
wo iztirab bhi ab to samundaron mein na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.