shuur-e-zat ke sanche mein Dhalna chahta hun
shu.ūr-e-zāt ke sāñche meñ Dhalnā chāhtā huuñ
maiñ girne se bahut pahle sambhalnā chāhtā huuñ
libās-e-ādam-e-ḳhākī badalnā chāhtā huuñ
maiñ apne jism se bāhar nikalnā chāhtā huuñ
tumhārī yaad kī bārish meñ jalnā chāhtā huuñ
maiñ sañg-o-ḳhisht huuñ lekin pighalnā chāhtā huuñ
mire andar ḳhazāne haiñ ugalnā chāhtā huuñ
tah-e-pātāl ko chhū kar uchhalnā chāhtā huuñ
mujhe pīchhe nahīñ rahnā hai jiine kī tamannā
husain ibn-e-alī ke saath chalnā chāhtā huuñ
shuur-e-zat ke sanche mein Dhalna chahta hun
main girne se bahut pahle sambhalna chahta hun
libas-e-adam-e-KHaki badalna chahta hun
main apne jism se bahar nikalna chahta hun
tumhaari yaad ki barish mein jalna chahta hun
main sang-o-KHisht hun lekin pighalna chahta hun
mere andar KHazane hain ugalna chahta hun
tah-e-patal ko chhu kar uchhalna chahta hun
mujhe pichhe nahin rahna hai jine ki tamanna
husain ibn-e-ali ke sath chalna chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.