shuur-o-fikr ki gahraiyon se haar gaya
shu.ūr-o-fikr kī gahrā.iyoñ se haar gayā
maiñ vo badan huuñ jo parchhā.iyoñ se haar gayā
jise tamām zamāna na kar sakā qaa.il
vo ḳhud zamīr kī sachchā.iyoñ se haar gayā
mirī jaḌoñ ko chalā hai vo khokhlā karne
zamāna jab mirī ūñchā.iyoñ se haar gayā
maiñ dushmanoñ se bhī nazreñ milā nahīñ saktā
mirā ḳhulūs mire bhā.iyoñ se haar gayā
maiñ terī mez pe rakkhā huā ik ā.īna
hazār tarah kī bīnā.iyoñ se haar gayā
nasīb tab kahīñ tanhā.iyāñ huiiñ 'kaifī'
ye dil jab anjuman-ārā.iyoñ se haar gayā
shuur-o-fikr ki gahraiyon se haar gaya
main wo badan hun jo parchhaiyon se haar gaya
jise tamam zamana na kar saka qail
wo KHud zamir ki sachchaiyon se haar gaya
meri jaDon ko chala hai wo khokhla karne
zamana jab meri unchaiyon se haar gaya
main dushmanon se bhi nazren mila nahin sakta
mera KHulus mere bhaiyon se haar gaya
main teri mez pe rakkha hua ek aaina
hazar tarah ki binaiyon se haar gaya
nasib tab kahin tanhaiyan huin 'kaifi'
ye dil jab anjuman-araiyon se haar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.