shyam tumhaari radha-rani Thik nahin
shyām tumhārī rādhā-rānī Thiik nahīñ
tum se bichhḌan ke dukh yā'nī Thiik nahīñ
varna baḌe jhagḌe meñ jirah ye badlegī
bāt-bāt par khīñchā-tānī Thiik nahīñ
ham sāras jaise haiñ so mar jā.eñge
ham jaisoñ se rū-gardānī Thiik nahīñ
mahz jagah hī nahīñ bahut kuchh badlā hai
phir bhī hijrat meñ be-dhyānī Thiik nahīñ
jab jī chāhā ḳhvāb diye phir chhīne bhī
nīñdoñ kī ye kāristānī Thiik nahīñ
ġhussa jhagḌā gālī-guftā makkārī
lahje meñ aisī ‘uryānī Thiik nahīñ
shyam tumhaari radha-rani Thik nahin
tum se bichhDan ke dukh ya'ni Thik nahin
warna baDe jhagDe mein jirah ye badlegi
baat-baat par khincha-tani Thik nahin
hum saras jaise hain so mar jaenge
hum jaison se ru-gardani Thik nahin
mahz jagah hi nahin bahut kuchh badla hai
phir bhi hijrat mein be-dhyani Thik nahin
jab ji chaha KHwab diye phir chhine bhi
nindon ki ye karistani Thik nahin
ghussa jhagDa gali-gufta makkari
lahje mein aisi ‘uryani Thik nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.