sidrat-ul-wasl ke sae ka talabgar hun main
sidrat-ul-vasl ke saa.e kā talabgār huuñ maiñ
tapish-e-hijr meñ barsoñ se giraftār huuñ maiñ
jā kisī aur ko jā dhamkiyāñ de mārne kī
jab se maiñ paidā huā tab se sar-e-dār huuñ maiñ
merā paiġhām bhalā teġh kahāñ rokegī
hākim-e-vaqt ko batlāo qalam-kār huuñ maiñ
maiñ ne to rab ko bhī puujā hai aur us yaar ko bhī
vā.izā tū hī batā kis kā gunahgār huuñ maiñ
manzil-e-zīst kahāñ manzil-e-maqsūd 'vaqār'
ik surayyā-e-mohabbat kā talabgār huuñ maiñ
sidrat-ul-wasl ke sae ka talabgar hun main
tapish-e-hijr mein barson se giraftar hun main
ja kisi aur ko ja dhamkiyan de marne ki
jab se main paida hua tab se sar-e-dar hun main
mera paigham bhala tegh kahan rokegi
hakim-e-waqt ko batlao qalam-kar hun main
main ne to rab ko bhi puja hai aur us yar ko bhi
waiza tu hi bata kis ka gunahgar hun main
manzil-e-zist kahan manzil-e-maqsud 'waqar'
ek surayya-e-mohabbat ka talabgar hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.