sifarishon ke bajae hunar se jaana gaya
sifārishoñ ke bajā.e hunar se jaanā gayā
parinda peḌ nahīñ bāl-o-par se jaanā gayā
kisī kā honā kisī kī nazar se jaanā gayā
mirā makān tirī rahguzar se jaanā gayā
mujhe milāyā thā ik roz tum ne miTTī meñ
natīja ye huā maiñ phir shajar se jaanā gayā
jahāñ pe bolte rahnā dalīl ilm kī thī
vahāñ maiñ guftugū-e-muḳhtasar se jaanā gayā
maiñ is kitāb ke ik baab kā huuñ ik kirdār
vo jis kitāb ko keval cover se jaanā gayā
vagarna ishq kī galiyāñ tavīl hotī haiñ
mirā nasīb maiñ pahle hī ghar se jaanā gayā
adab meñ 'mīr' kā qashqa hī thoḌī hai mash.hūr
hamārā sar bhī tirī ḳhāk-e-dar se jaanā gayā
maiñ tanhā kartā rahā muddatoñ ġhazal kā safar
aur āḳhirash ye safar ham-safar se jaanā gayā
sifarishon ke bajae hunar se jaana gaya
parinda peD nahin baal-o-par se jaana gaya
kisi ka hona kisi ki nazar se jaana gaya
mera makan teri rahguzar se jaana gaya
mujhe milaya tha ek roz tum ne miTTi mein
natija ye hua main phir shajar se jaana gaya
jahan pe bolte rahna dalil ilm ki thi
wahan main guftugu-e-muKHtasar se jaana gaya
main is kitab ke ek bab ka hun ek kirdar
wo jis kitab ko kewal cower se jaana gaya
wagarna ishq ki galiyan tawil hoti hain
mera nasib main pahle hi ghar se jaana gaya
adab mein 'mir' ka qashqa hi thoDi hai mashhur
hamara sar bhi teri KHak-e-dar se jaana gaya
main tanha karta raha muddaton ghazal ka safar
aur aaKHirash ye safar ham-safar se jaana gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.