sidhe munh kuchh wo pari-zad nahin kahti hai
sīdhe muñh kuchh vo parī-zād nahīñ kahtī hai
arz kartā huuñ to irshād nahīñ kahtī hai
dil meñ jazba ho to aatī haiñ samajh meñ ġhazleñ
varna kuchh bhī koī rūdād nahīñ kahtī hai
sher-fahmī ko rifāqat meñ gunahgār na kar
vo bhī kah de jo tirī daad nahīñ kahtī hai
god se maañ kī nikal aa.e to jaanā ham ne
saarī duniyā hameñ shahzād nahīñ kahtī hai
mujh ko ik baat pasand aatī hai us kī ki vo
nazm kahtī hai to āzād nahīñ kahtī hai
sidhe munh kuchh wo pari-zad nahin kahti hai
arz karta hun to irshad nahin kahti hai
dil mein jazba ho to aati hain samajh mein ghazlen
warna kuchh bhi koi rudad nahin kahti hai
sher-fahmi ko rifaqat mein gunahgar na kar
wo bhi kah de jo teri dad nahin kahti hai
god se man ki nikal aae to jaana hum ne
sari duniya hamein shahzad nahin kahti hai
mujh ko ek baat pasand aati hai us ki ki wo
nazm kahti hai to aazad nahin kahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.