sigha-e-raaz mein hai maqsad-e-taKHliq ka raaz
sīġha-e-rāz meñ hai maqsad-e-taḳhlīq kā raaz
lā-makāñ tak hai kahāñ murġh-e-ḳhirad kī parvāz
be-surūrī haiñ asīrān-e-sharī.at ke sujūd
be-huzūrī hai ġhulāmān-e-tarīqat kī namāz
us kī āñkhoñ meñ ba-juz harf-e-duā kuchh bhī nahīñ
jis ko qudrat ne atā kī thī nigāh-e-shahbāz
ruuh kī samt baḌhā aatā hai rahvār-e-ajal
har nafas Dūbtī sāñsoñ kā bikhartā huā saaz
zaḳhm dete haiñ bahut nishtar-e-taqdīr ke ḳham
dard detā hai bahut husn-e-ḳhamīda-andāz
merī āñkhoñ meñ hai bas tāq-e-haram kī qindīl
mere siine meñ faqat barq-e-tamannā-e-hijāz
ek kotāh-nazar banda-e-nādāñ 'bazmī'
rabb-e-kaunain ise nūr-e-basīrat se navāz
sigha-e-raaz mein hai maqsad-e-taKHliq ka raaz
la-makan tak hai kahan murgh-e-KHirad ki parwaz
be-sururi hain asiran-e-shariat ke sujud
be-huzuri hai ghulaman-e-tariqat ki namaz
us ki aankhon mein ba-juz harf-e-dua kuchh bhi nahin
jis ko qudrat ne ata ki thi nigah-e-shahbaz
ruh ki samt baDha aata hai rahwar-e-ajal
har nafas Dubti sanson ka bikharta hua saz
zaKHm dete hain bahut nishtar-e-taqdir ke KHam
dard deta hai bahut husn-e-KHamida-andaz
meri aankhon mein hai bas taq-e-haram ki qindil
mere sine mein faqat barq-e-tamanna-e-hijaz
ek kotah-nazar banda-e-nadan 'bazmi'
rabb-e-kaunain ise nur-e-basirat se nawaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.